Post by Bhupinder Ghodopipli on Oct 2, 2015 17:29:23 GMT 5.5
Jai Sidhu Guru Baba Melnath ji ki
Ghodopipli ek Gurjar baahulya gaon h, jo distt. yamuna nagar Haryana me h Ye ek yamuna ke khaadar ka gaon h jo yamuna ji ke kinare Haryana-UP ke border par h Yamuna nagar jile me jitne bhi Chechi gotra ke gaon h woh sab Ghodopipli se hi nikle h Yamuna nagar ke Chechi Gurjaro ki Kul-mata ka thaan Ghodopipli me hi h Ye iklauta aisa gaon h jaha is kalyug me bhi dhood(milk) nahi bikta yaha koi dhudhwala(milkman) dhood(milk) bechne ya kharidne ke liye nahi aata, Bahut purane samay ki baat h yaha ek gaon hua karta tha jisme musalmaan raha karte the aur kuch hindu saini raha karte the kyoki ye muslim baahulya gaon tha toh yaha unke saamne kisi ki nahi chalti thi, Hamare purvaj jo ke Kaithal jile ke gaon Kyodak se yaha garmiyo ke dino me apne pashuo ko charane ke liye aate the aur barsaat ke mausam tak yahi raha karte the isi gaon ke jungle me Pipal ke ped ka ek jungle tha jise pipli kaha karte the, jab hamare purvaj apni Gaaye yaha charate the toh unhone dekha ke bin biyaayi gaaye ke thano se doodh tapakta rehta tha unhone dekha ke ye gaaye baki sab gaayo ke jhund se alag kahi chali jaati h aur phir waapis aa jati thi ek din unhone uska peecha kiya toh unhone dekha ke gaaye us pipal ke jungle yani ke Pipli me jaa rahi h unhone uska picha kiya toh dekha ke gaaye Pipal ke ped ke paas ja kar khadi ho gayi us ped ki khokar se ek tapasvi baahar nikle jinke mukh par ek alokik tej tha maano saakshat bhagwan hi kisi sadhu ke vesh me khade ho unhone dekha ke saadhu negaaye ko sneh se puchkara aur uske niche baith gaye, unhone dekha ke saadhu ne uske thano ke neeche apna kamandal kiya aur gaaye ne apne dhood(milk) se use bhar diya aur phir saadhu us pipal ki khokar me parvesh kar gaye aur gaaye waha se chal padi ye dekhkar wo sab hairaan reh gaye wo bhi wapis apne dere par aa gaye unhone agle din phir uska picha kiya jaisi hi gaaye waha pahuchi aur tapasvi dhood lene ke liye bahar nikle unhone tapasvi ko parnaam kiya aur unke pairo me gir gaye Tapasvi ne unhe aashirvad diya aur uthane ko kaha, saadhu ne unse kaha ke mere dwara gaaye ka dhood lene se tum naraj to nahi toh unhone hath jod kar kaha Maharaj ye aap kya keh rahe h ye to aapki kripya h ke ek bin biyaayi gaaye dhood de rahi h, unhone Tapasvi se ek vinti ki ke maharaaj aaj ke baad aap kasta na kare hum khud dhood lekar aapke paas aaya karege aur Tapasvi ne unhe aashirvaad diya aur phir pipal ki khokar me ja kar samaadhi laga li aur dhyaan me magna ho gaye samay bita aur ek din un sab ke waha se jane ka samay aa gaya wo aakhri baar unhe dhood chadane aaye the Tapasvi saadhu ne unse kaha ke tum yahi par reh jao, ye sunkar wo bahut khush huye par unhone kaha ke Maharaj hum Hindu is muslim baahulya gaon me kaise reh sakte h woh hame yaha nai rehne dege, Tapasvi ne kaha tum yaha rehna shuru kar do baaki bhagwan par chod do, Hinduo ke waha rehne se wo muslim unhe pareshan karne lage ek din jab had ho gayi to wo apni fariyaad lekar Tapasvi ke paas gaye aur unhe saari ghatna batayi, Ye sunkar Tapasvi ko krodh aa gaya unhone un Gurjaro se kaha ke tum jakar unse muqabla karo aur une waha se bhaga do, Gurjar ye sunkar kahne lage Maharaaj hum sirf muthi bhar Gurjar un sab ka muqabla kaise karege, Tapasvi ne kaha tum sirf shuruwat kar do baaki sab mujh par chodh do ye sab sun kar un Gurjaro ne unka aashirvaad liya aur us gaon me jakar unhe lalkara aur unse ladayi shuru kardi Kahte h ke un muslimo ko kuch bhi samajh nai aa raha tha unke upar koi chimta barsa raha tha par koi najar n aata the sirf chimte ki aawaz sun rahi thi, aur un muslimo ne waha se bhaag kar apni jaan bachayi, Tapasvi ne Gurjaro ko waha basne ka aashirwaad diya aur kaha ke ye Pipli meri taposthali h m yaha vaas karuga bs ek aadesh h ke is gaon me kabhi bhi dhood bikne ke liye bahar na jaye aapas me dhood ka vayahwar kar sakte ho par vayapar na karne ko kaha aur unke aashirwad se wo sab waha rehne lage aaj bhi un Tapasvi ki samadhi us gaon me h jiska naam Ghodopipli pada aur wo Tapasvi koi aur nai Sidhu Guru Baba Shri Melnath ji the aaj bhi Chechi Gurjaro ke is gaon me dhood nai bikat ye kalyug me mere Baba Melnath kar chamatkar h agar kisi ke yaha Gaaye vagarha koi pashu biyata h to uska pehla dhood aur buloya(butter) unhe chadta h phir apne kaam me lete h ye mahima h mere nath ki
Jai Sidh Guru Baba Melnath Ki